Aurat ka kab kisne mol paya hai,
kisi ne loota kise ne thukraya hai,
jann ni ban kar jaayi jo zindagiya
unn jaayo ne bhi budape mein muh ghumaya hai
aurat ka kab kisne mol paya hai
kise ne loota kise ne thukaraya hai
premika ban jab khilaye phool dilo ke
un meharbano ne beech majhdaar dubaya hai
aurat ka kab kisne mol paya hai
kisi ne loota kise ne thukraya hai..........
beti ban khili jab aangan mein babul ke
hasrato ke deepko ko gairo ne bujhaya hai...
aurat ka kab kisne mol paya hai
kisi ne loota kise ne thukraya hai..........