Friday, April 27, 2012

meine ek bhali c surat mein...tera naksh paya hai

arse se kalayi sooni mein abb chooriyo ka mausam aya hai
meine ek bhali si soorat mein hoo b hoo  tera naksh paya hai.........

dekha to  dekhti reh gayi ,kaisa kudrat ne khel rachaya hai
jo  tha kuch pal ajnabi pehle abb nigaaho se dil mein samaya hai


meine eh bhali si soorat mein hoo b hoo tera naksh paya hai..........

usko jaana to pucha vo kaise iss besh mein aya hai
usne b shayaad mujhe dekh kise aur ka andaza lagaya hai...
nazre milte laga yehi vo khoya mere gamo ka sarmaya hai....

meine ek bhali c soorat mein hoo b hoo tera naksh paya hai
arse se kalayi sooni mein abb chooriyo ka mausam aya hai.........


kabhi kabhi kuch saathi purane ,, naye daur mein aa milte hain
jaise chandni raaton se pehle subeh ke suraj dhalte hain

jab khaate hai do dil kasme pyaar ko poor nibhane kii
ek ek naye janam mein ik duje ka ban aane kii
sache prem ki laaz ko nibhaate ,,, kismat ke paro par milte hai
chahat ke kagaaj par fir vo syaahi prem se kismat likhte hai.....


meine ek bhali c soorat mein hoo b hoo tera naksh paya hai
arse se  kalayi  sooni mein abb chooriyo ka mausam aya hai...........


aise hi kuch kushkismat noor e ilaahi ki raza mein raazi hain...
ho gaye ruksat  ik janam mein tanha  , mukhatib har janam mein hote hain
rehti  chahat dilo mein bass jisam  tanha juda hote hain........ bass jisam hi tanha juda hote hain..........











No comments:

Post a Comment